A very humble attempt by me of this Lata ji classic. I just could not resist trying to sing this myself. Picturized on the beautiful Leena Chandawarkar, soulful lyrics by Anand Bakshi, fitting music by Laxmikant Pyarelal and Lata ji at her best in this song… just love it…love it !!! Lyrics: hmmm... is zamaane mein is mohabbat ne kitne dil tode kitne ghar phoonke jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain dil ke badle dard-e-dil liyaa karte hain jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain hmmm... tanhaayi milti hai, mahfil nahin milti raahe muhabbat mein kabhi manzil nahin milti dil toot jaataa hai, naakaam hotaa hai ulfat mein logon kaa yahi anjaam hotaa hai koyi kyaa jaane, kyon ye parwaane, kyon machalte hain, gham mein jalte hain aahen bhar bhar ke deewaane jiyaa karte hain aahen bhar bhar ke deewaane jiyaa karte hain jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain saawan mein aankhon ko, kitnaa rulaati hai furqat mein jab dil ko kisii ki yaad aati hai ye zindagi yoon hi barbaad hoti hai har waqt honthon pe koyi fariyaad hoti hai naa davaaon kaa naam chaltaa hai naa duaaon se kaam chaltaa hai zahar ye phir bhi sabhi kyon piyaa karten hain zahar ye phir bhi sabhi kyon piyaa karten hain jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain mahboob se har gham mansoob hotaa hai din raat ulfat mein tamaashaa khoob hotaa hai raaton se bhi lambe ye pyaar ke kisse aashiq sunaate hain jafaa-e-yaar ke qisse bemuravvat hai, bewafaa hai wo, us sitamagar kaa apne dilbar kaa, naam le le ke duhaayi diyaa karte hain naam le le ke duhaayi diyaa karte hain jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain | Title: Jaane kyun log muhabbat Film: Mehboob Ki Mehndi (1971) Music: Laxmikant Pyarelal Lyrics: Anand Bakshi Original Singer: Lata Mangeshkar Sung By: Sarada Bhagavatula |
Jaane Kyon Log Mohabbat Kiya Karte Hain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
I had never paid much attention to this song before. Thanks to your lovely rendition, it has become my new favorite.
Post a Comment