Jaane Kyon Log Mohabbat Kiya Karte Hain




A very humble attempt by me of this Lata ji classic. I just could not resist trying to sing this myself. Picturized on the beautiful Leena Chandawarkar, soulful lyrics by Anand Bakshi, fitting music by Laxmikant Pyarelal and Lata ji at her best in this song… just love it…love it !!!

Lyrics:

hmmm...

is zamaane mein is mohabbat ne
kitne dil tode kitne ghar phoonke
jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain
jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain
dil ke badle dard-e-dil liyaa karte hain
jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain

hmmm...

tanhaayi milti hai, mahfil nahin milti
raahe muhabbat mein kabhi manzil nahin milti
dil toot jaataa hai, naakaam hotaa hai
ulfat mein logon kaa yahi anjaam hotaa hai
koyi kyaa jaane, kyon ye parwaane,
kyon machalte hain, gham mein jalte hain
aahen bhar bhar ke deewaane jiyaa karte hain
aahen bhar bhar ke deewaane jiyaa karte hain
jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain

saawan mein aankhon ko, kitnaa rulaati hai
furqat mein jab dil ko kisii ki yaad aati hai
ye zindagi yoon hi barbaad hoti hai
har waqt honthon pe koyi fariyaad hoti hai
naa davaaon kaa naam chaltaa hai
naa duaaon se kaam chaltaa hai
zahar ye phir bhi sabhi kyon piyaa karten hain
zahar ye phir bhi sabhi kyon piyaa karten hain
jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain

mahboob se har gham mansoob hotaa hai
din raat ulfat mein tamaashaa khoob hotaa hai
raaton se bhi lambe ye pyaar ke kisse
aashiq sunaate hain jafaa-e-yaar ke qisse
bemuravvat hai, bewafaa hai wo,
us sitamagar kaa apne dilbar kaa,
naam le le ke duhaayi diyaa karte hain
naam le le ke duhaayi diyaa karte hain
jaane kyon log muhabbat kiyaa karte hain



Title: Jaane kyun log muhabbat
Film: Mehboob Ki Mehndi (1971)
Music: Laxmikant Pyarelal
Lyrics: Anand Bakshi
Original Singer: Lata Mangeshkar
Sung By: Sarada Bhagavatula

1 comment:

Parasmani said...

I had never paid much attention to this song before. Thanks to your lovely rendition, it has become my new favorite.